Milad Dun Nabi shareef
Jashn Eid e Milad Un Nabi
Ehkaam Ilayiha se Mustabit Usool wa Qawaneen har sharai amal ki asas hain aur har amal sunnat rasool ﷺ ki bunyaad par qaim hai, yahi iss deen ki haqainat ki wazeh Daleel hai jo isay deegar adyan se mumtaz karti hai, iss ziman mein hum Milad Dun Nabi ko batour eid mananay aur Izhaar e musarrat karne ke baray Nusoos e quran wa hadis ke sath tafseeli behas kar chuke hain lekin aisay hazraat ke liye jo bila waja Milad Dun Nabi shareef ke mauqa par jamhoor musalmanoon ko kufar wa Shirk aur bidat ka murtakib th-hrate hain aur har baat par quran wa ahadees Daleel talabb karte hain unn ke dil va dimagh tang nazri ka shikaar hain aur woh apne tain yeh sochate hain ke iss amal ka koi sharai saboot nahi? un se baquol iqbal itni guzarish hai :
dil e Beena bhi kar k khuda se talabb
aankhh ka noor dil ka noor nahi
Milad Dun Nabi jaisi nemat uzma par shukrane ke saboot talabb karne walay nadaan aur kam naseeb logon ne kabhi yeh nahi socha ke zindagi mein hazarha dunyawi khusihyan manate waqt kabhi quran va Sunnat ki taraf nigah uttha kar dekha ke kya iss ka zikar quran va hadis mein hai ya nahi ?
maslan jab kabhi kisi ke haan pehla beta peda ho to mithayyan banti jati hain aur dawatein ki jati hain, har saal bachon ki saalgirah par hazaron rupay kharch kiye jatay hain, aam mamool hai ke shadi ki taqrebaat par kayi kayi mahinay pehlay tayyariyan ki jati hain, rasam o riwaj par lakhoon kharch kiye jatay hain, 23 march ko har saal mulk mein sarkari aur ghair sarkari satah par taqrebaat, jashnn aur Mahafil ka ineqad hota hai, ulama wagher ulama inn sab taqrebaat mein shareek hotay hain magar kisi ne kabhi koi fatwa sadir nahi kya, sunnat rasool aur Uswa e sahaba se kabhi sanad talaash nahi ki, isliye ke iss mein mulk ka ejaz hai aur mulk ke sath apni jazbati wabastagi ka saboot milta hai .
Jashn Eid e Milad Un Nabi
yeh sab kuch theek hai aur hamaray nazdeek bhi yeh taqrebaat ghalat nahi, aisa hi hona chahiye magar sawal yeh hai ke ba-is e takhleeq kaayenaat, jaan-e aalam, rehmat doaalm, syed ul Ambiya ke yom wiladat (Milad Dun Nabi) ke silsilay mein Mahafil ka ineqad ho to dalail aur fatwoon ka mutalba kyajata hai, aaqaye do jahan ki aamad (Milad Dun Nabi) ka din aeye to khushy mananay
ke liye dalail wa buraheen aur saboot mangay jatay hain, iss ka saaf matlab hai ke baqi har mauqa par khushy thi magar Rehmat doaalm ke muamlay mein hi dil ehsaas e musarrat se mahroom ho gaya aur hukm-e Khudawandi
[ فلیفرحوا ہو خیر مما یجمعون ]
yaad nah raha :
Nisar teri chehal pehal pay hazaar eidain Rabiey al-awwal
siwaye iblees ke jahan mein sabhi to khusihyan manarhe hain
afsos ke Kufr wa Shirk ke fatawa sadir karne walay munkir e Milad Dun Nabi badatiyon ne apne biton aur baityon ki khoshion par to lakhoon rupay kharch kar diye to koi Chiz Rokawat nah bani magar mehboob ambiya ka mah e wiladat (Milad Dun Nabi) jalva figan huwa to iss ke ihtimaam par khud kharch karne ki bajaye dosaron ko bhi iss se mana karte rahay, yaad rahay ke duniya jahan ki koi bhi khushy aaqaye do jahan ki aamad (Milad Dun Nabi) ki khushy se barri nahi, iss ke muqablay mein duniya do jahan ki saari khusihyan heech hain .
ho nah yeh phool to bulbul ka tarannum bhi nah ho
yeh nah saqi ho to phir me bhi nah ho, khham bhi nah ho
chaman e deher mein kaliyon ka tabassum bhi nah ho
bazm e toheed mein hum bhi nah hon, tum bhi nah ho
woh jo nah they to kuchh nah tha, woh jo nah hon to kuch nah ho
jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahan hai
hai jahan mein jin ki chamak damak, hai chaman mein jin ki chehal pehal
wohi ik madinah ke chaand hain, sab unn hi ke dam ki bahhar hai
inhin ki bo Ma-ye Saman hai, ainhin ka jalwa chaman chaman hai
Inhin se Gulshan mehak rahay hain, Inhin ki rangat ghulaab mein hai
woh nah tha to baagh mein kuch nah tha, woh nah ho to baagh ho sab fanaa
woh hai jaan, jaan se hai baqa, wohi bun hai bun se hi baar hai
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.