میلاد کسے کہتے ہیں؟ What is the meaning of Milad

Jashn e Milad un Nabi  


Melaad Kise Kehte Hain?

Jashn e Milad un Nabi 


Milaad ki Do Surateen  hain, pehli soorat yeh hai ke Huzur  ki wiladat aur aap ke fzayil wa manaqib  ka zikar kya jaye, aap ki tareef  wa taoseef bayan ki jaye kisi soorat mein, akailey ya ijtimai tor par .
doosri soorat murawaja Mahafil Milad Ki hai jin mein baqaida jalsa munaqid kiya jata hai jis mein talawat, naat shareef aur huzoor ki wiladat ke tazkeray aur aap ke fzayil  wa manaqib bayan kiye jatay hain or tabarruk waghera ka ihtimaam kiya jata hai aur huzoor aki aamad par khushee ka Izhaar kya jata hai .



Jashn e Milad un Nabi 

dono sooraton ka hukum alehda alehda hai, pehli soorat mein mehfil e Milad manana allah taala, Anbiyae karaam, rasool Akram ﷺ, Sahaba e karaam, Muhadseen e yezam  aur jamhoor Awamun naas ki sunnat mubarikah hai, doosri soorat mein Mahafil milaad ka aaghaz 6 hijri mein Sultan Salahuddeen ayyobi ke behnoi aur arbal ke badshah Sultan muzaffaruddeen abu Saeed kubra ( 630 hijri) nay kya, Imam Zehbi nay apni kitaab [ sair Alaam Al Nabala ] mein mazkoorah badshah ki bohat tareef wa tehseen ki ke yeh bohat ziyada sadqa wa khairat karne walay aur maheman Nawaz thay, imam Zehbi kehte hain ke yeh badshah sunni alaqidah, naik dil aur mut-taqi tha, imam Zehbi ikthy hain ke Shah muzaffar har saal mahfile  milaad par teen laakh dinar kharch karta tha jo mojooda currency ke mutabiq taqreeban 1 arab bees crore Pakistani rupay bantay hain .





Jashn e Milad un Nabi

isi terhan aik aur azeem shakhsiyat allama Ibne kaseer nay bhi mazkoorah badshah ki tareef wa tehseen ki aur un ke taqwa wa parheez gari aur darya dili ka zikar kiya hai aur likha ke mazkoorah badshah barray hi josh wa jazba aur musarrat  wa Soroor se Mahafil milaad du nabi ka ihtimaam karta tha. [ albadaya wa-al-nahaya : 918]


Jashn e Milad un Nabi 


lehaza murawaja Mahafil milaad aik mustahib amal hai jis ko jamhoor Muhaddiseen , mufassireen aur jamhoor Ahal islam duniya bhar mein karte arhay hain, isliye iss pakeeza mehfil milaad ko shirk  wa bid-at kehna quran wa sunnat se nawaqif honay ki Daleel hai .





Jashn e Milad un Nabi 


میلاد کسے کہتے ہیں؟

Melaad Kise Kehte Hain? What is the meaning of Milad


      میلاد کی دوصورتیں ہیں ، پہلی صورت یہ ہے کہ حضورا کی ولاد ت اور آپ کے فضائل ومناقب کا ذکر کیا جائے ،آپ کی تعریف وتوصیف بیان کی جائے کسی صورت میں ،اکیلے یا اجتماعی طور پر ۔
      دوسری صورت مروجہ محافل میلادکی ہے جن میں باقاعدہ جلسہ منعقدکیا جاتا ہے جس میں تلاوت ،نعت شریف اور حضور اکی ولادت کے تذکرے اور آپ کے فضائل ومناقب بیان کئے جاتے ہیں اورتبرک وغیرہ کا اِہتمام کیا جاتا ہے اور حضور اکی آمد پر خوشی کا اِظہار کیا جاتاہے۔


یہ بھی پڑھیے:  حضور  کے میلاد پر خوشی مناناکیوں ضروری ہے؟


Jashn e Milad un Nabi 
       دونوں صورتوں کا حکم علیحدہ علیحدہ ہے ،پہلی صورت میں محفلِ میلادمنانا اَللہ تعالیٰ ،اَنبیائِ کرام ، رَسولِ اَکرم ا، صحابۂ کرام ، محدثینِ عظام اور جمہور عوامُ الناس کی سنت مبارکہ ہے ، دوسری صورت میں محافل میلاد کا آغاز ۶ھ میں سلطان صلاح الدین ایوبی کے بہنوئی اور اِربل کے بادشاہ سلطان مظفر الدین ابو سعید کبری (۶۳۰ھ )نے کیا ،اِمام ذہبی نے اپنی کتاب [سیر اعلام النبلاء:۱۶؍۲۷۴]میں مذکورہ بادشاہ کی بہت تعریف وتحسین کی کہ یہ بہت زیادہ صدقہ وخیرات کرنے والے اور مہمان نواز تھے ،امام ذہبی کہتے ہیں کہ یہ بادشاہ سنی العقیدہ ،نیک دل اور متقی تھا ، امام ذہبی لکھتے ہیں کہ شاہ مظفر ہر سال محفل میلاد پر تین لاکھ دینار خرچ کرتا تھا جو موجودہ کرنسی کے مطابق تقریباً ایک ارب بیس کروڑ پاکستانی روپے بنتے ہیں ۔
Jashn e Milad un Nabi 







Jashn e Milad un Nabi

اسی طرح ایک اور عظیم شخصیت علامہ ابن کثیر نے بھی مذکورہ بادشاہ کی تعریف وتحسین کی اور ان کے تقوی وپرہیز گاری اور دریا دلی کا ذکر کیا ہے اور لکھا کہ مذکورہ بادشاہ بڑے ہی جوش وجذبہ اور مسرت وسرور سے محافل میلاد النبی کا اہتمام کرتا تھا۔  [البدایہ والنہایہ : ۹؍۱۸]
لہذا مروجہ محافل میلاد ایک مستحب عمل ہے جس کو جمہور محدثین ،مفسرین اور جمہور اَہلِ اِسلام دنیا بھر میں کرتے آرہے ہیں ،اسلئے اِس پاکیزہ محفلِ میلاد کو شرک وبدعت کہنا قرآن وسنت سے ناواقف ہونے کی دلیل ہے ۔

Post a Comment

0 Comments